Salam Ya Hussain.....(2)
Bas Ya Hussain.....(2)
Ya Ali Ya Hussain.....(2)
Jahan Hussain Wahan Laelha Illallah.....(2)
Hamare hai ya Hussain .....(2)
Abad wallah Ya Zehra Manind sa Hussaina .....(2)
Labbaik ya Hussain.....(2)
Maula labbaik labbaik ya Abaabdillah
Aqa Labbaik Labbail Ya Abaabdillah.
Aai Mere Maula Shahe Karbala
Bakshia Ka Shifa,Hai Aap Wasila,
Rauze pe Bulalo,Zawwar bana do,
Qismat Ko jaga do ,aai Shahe Shahida,
Aijaz dikha do,
Maula ab hum ko sada do.....(2)
Ezuruni Ezuruni.......Ezuruni aa hitto...
Taarefuni Shafie kum.
Chale Aao, Chale Aao,
Chale aao aye zawwar chale aao,
Meri aawaz pe labbaik pukare jaao.
Maula ab hum ko sada do.....(2)
Naam tum subke mere dil pe hai likhe aao,
Apne maa baap ko is paak safar me laao,
Apne bacchon ko bhi ehram e aza pahanao,
Mere zawwaro meri karbobala aajaao,
Ahed karta hun azadaro shifaat ke liye,
Aao zawwaro chale aao ziyarat ke liye,
Chale Aao, Chale Aao,........
Khush raho aai meri rudaad sunane walo,
Apni khushion me mera shog manane walo,
Sare aalam me mera farsh bichane walo,
Garmi sardi me meri kabr pe aane walo,
Mujhko malum hai tumlogon ki haalat aao,
Tumpe ho jaiengi Allah (s.w.t.) ki inayat aao,
Chale Aao, Chale Aao,........
Janibe karbobala gar koi badhta hai kadam,
Har kadam per mere zawwar pe hota hai karam,
Saya karta hua abbas ka chalta hai alam,
Muntazir rehti hai Zehra (s.a.) mere baba ki kasam,
Mere zawaaron mere dard ke maaro aao,
Meri maa Fatema Zehra (s.a.) ke dularo aao,
Chale Aao, Chale Aao,........
Tum jo kehte ho abad wallah manind sa Hussain (a.s.),
Amma Zehra (s.w.) bhi yahin karti hai ro ro kar bain,
Mere mazloomi pe rote hai shahe badro hunnain,
Mere baba bhi abtak hai mere gam me bechain,
Tum nahi bhoole to main bhi nahi bhoola tumko,
Yaad chalte hue khanjar me bhi rakha aao.
Chale Aao, Chale Aao,........
Tum jo lehrate ho hatha o me uthaie parcham,
Tum ko maloom hai ho jaata hai taaza mera gam,
Yad aata hai mujhe khoon me dooba woh alam,
Jis ke jhuk jaane se toota mere bacchon pe sitam,
Mere Abbas (as) ki jagir sajane aao,
Hazri rauze Abbas (as) pe kahne aao.
Chale Aao, Chale Aao,........
Mere zawwaron suno, yeh zameen karbobala,
Mujhse pehle to yahan koi bhi bas na saka,
Yeh zameen karbobala karb ka majmua hai,
Hazrat e Adam (as) o Hawwa (as) ka yahani girya hai,
Shere ne hazrat esa e ko yahani roka hai,
Aur phir takhte suleman yahani larza hai,
Yeh zameen per Ibrahim ka rahwar thasa,
Paie moosa me lagi chot lahu behne laga,
Zabi Allah (s) ke haiwan rahe pyase yahan,
Kashti e Nooh (as) se takraya yahin par toofan,
Is zameen par to pareshan hua har insan,
Mere baba (as) bhi yahan karte rahe aa ho fuga,
Meri hijrat thi madine ki hidayat ke liye,
Yeh zameen main ne kharidi thi shahadat ke liye,
Chale Aao, Chale Aao,........
Do moharram ko yahan, mera rahwar ruka,
Sath kunba tha mera, mai akela bhi na tha,
Aao zawwaro mere sath chalo,
Tham kar dil, mera makhtal dekho
Yeh makame, Aliakbar (as) hai yahan,
Mere bacche pe jahan roi aza,
Yeh makame Aliasgar (as) hai jahan,
Aaj bhi baithi hui roti hai maan,
Yeh jaga woh hai mere zawwaro,
Lash e Qasim (as) hui paamal jidhar,
Woh makamat jo aate hai nazar,
Kate Abbas (as) ke bazu the jidhar,
Hai zara door jo Rauze ke zara,
Hai mere Aun (as) O Mohammed (as) ke mazar,
Ashr e Ashoor se turbat ke kareeb,
Mera hur aur mera lashkar hai yahain,
Aao yeh killae zainabya hai, Yahin zainab ne yeh manzar dekha,
Mujhpe chalta hua khanjar dekha,
Mera Aashor ya Chehlum ho mera,
Karbala aata hai Kunba mera,
Phir Sakina (s.a.) jo yahan aati hai,
Meri turbat se lipat jaati hai.
4 comments:
http://www.Onlocker.com
amazing collection
Mola teri karmic pe qurban
Salam Hussain ibn Asad Ullah
Mashallah subhanalla
Post a Comment